Bharat ke khilap Russia ne kiya China ka Samarthan
Jab se China aur America ka byapar youdh chalu hua hai tab se
china kuch jyada hi Russia ka karib aagaya hai.
Ya fir kuch yun hi keh sakte hai ki Russia ne khud hi China ke aur
kadam badhaya hai.
Pehle to Vladimir Putin ne hi aage aake Russia ke andar China ki
bhagidari ke mude par bayan diya fir uske baad Vladimir Putin ne hi China ke
saath sainya gatbandhan ke sambhabana ko hawa di.
Lekin ab usi Russia ne Bharat ke khilap China ka samarthan karte
huye Bharat ko bada jhatka diya hai.
- Brazil ne BRAHMOS ke liye Sweden ke RBS-15 ko thukraya
- रूस ने लिया वही फैसला जिस लेकर चिंतित था इजरायल, चीन के इशारे पर रूस का बड़ा फैसला ।
Darasal Shanghai sahiyog sangathan ke manch par Bharat ne China ke
mahatwakankhi One Belt One Road pariyojna
ka birodh kiya, lekin Bharat ke khilap jate huye Russia ne Shanghai sangathan
manch par China ke One Belt One Road
Pariyojna ka samarthan kiya hai.
Wahi lag-bhag 50 Arab Dollar ka China-Pakistan arthik galiyara bhi
ussi pariyojna ke tahat aata hai.
Bharat ke khilap Russia ne kiya China ka Samarthan
Jesa ki Shanghai shiyog sangthan China ka prabhab wala manch hai.
Ab iss manch ke sabhi sadasya desh jaise ki Kazakhstan, Kirgizstan, Pakistan,
Russia, Uzbekistan aur Tajikistan in sabhi desho ne China ka One Belt One Road pariyojna ke
samarthan me sanjha bayan jari karte huye China ko apni samarthan diya hai.
Wese herani wala baat ye hai ki China ki iss mahtwakankhi
pariyojna ki chakar me kais are desh China ki karz ke bojh tale dab chuke hain.
Wahin Europe se lekar Africa tak kais sare desho ne khulkar China
ki mahatwakankhi BRI pariyojna ka
birodh bhi kiya hai.
Iss ke bawajud Russia ki President Vladimir Putin, China ka nibesh
hasil karne ke chakar me andha ho chuke hain.
Halaki wese bhi iss sal Shanghai sahiyog sangathan ke manch ka
mukhya udhesya khatam ho chukka hai.
Kyun ki China ne iss manch ko puri tarah se apni niji mudhe keliye
istmal kiya.
Bharat ke khilap Russia ne kiya China ka Samarthan
Ab aise me ho sakta hai jistarah Bharat ne Pakistan ki waje se
SAARC sikhar samilan ka bahiskar karchuka hai wese hi aage chal ke Bharat ne Shanghai
sahiyog samilan ka bahiskar bhi karsakta hai.
Kyun ki jab Shanghai sahiyog sangathan ka mukhya udhesya hi khatam
ho chukka ho to phir iss manch par koi barta karne ka koi fyda hi nahi.
Lekin Bharat ne sabhi desho ko do tuk jawab de diya hai ki Bharat
kisi bhi manch par China ki aise kisi bhi pariyojan ka samarthan nahi karega jo
Bharat ke samprabhuta ko luksan pohchane ki kaam karenge.
Ab aise me dekha jaye to China ki waje se Bharat Shanghai sahiyog sangathan ke manch se duri bana sakta hai.
Related Article
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box